Wednesday 11 October 2017

Android Root Kya Hai- Rooting ke Fayde Or Nukasan Puri Jankari

What is Root in Android hindi? Aaj kal internet par apne Android root ke bare me suna hoga lekin apko ye question hoga ki ye Root kya hai?Root karne ke Fayde or Nukasan kya hai? kya hume Android phone ko root karna chahiye? And Hum apne Android phone ko root karte hai to kin kin bato ka khayal rakhana chahiye? ye sare question ka answer hum apko is post me details se batane ja rahe hai.


Root kya hai- What is Root in hindi?


Root ka simple meaning hai Jad yani ke Android ke basement tak pahunchana. Root word Linux se liya gaya hai. Linux ek computer operating system hai. Jo open source OS hai jisaka mainly use security and hacking ke liye hota hai. Android ek Linux based operating system hai.
Jab aap koi bhi normal Android phone ko chalate hai to usame Smartphone manufacture company ki default Android OS run hoti hai. Jisame bahot sari limitation hoti hai. Jisase aap Operating system me kuch bhi changes nahi kar sakte hai. And phone par pura control default OS ka hota hai. Lekin Agar aap Android ko root karte hai to aapko Super User ka access mil jayenga. Jisase aap Android phone me kuch bhi access kar payenge or usako control bhi kar payenge. Jisase aap apne phone ka performance and uses dono improve kar sakte hai.
Root karke aap phone me default OS ko change kar sakte hai, Processor ki speed ko control kar sakte hai, Command change kar sakte hai, partition change kar sakte hai, Dual operating system install kar sakte hai. over All kahe to aap Android ko Root kar ke phone me Apka pura control kar sakte hai jaise ki ek computer par hota hai. Playstore me bahot sare aise apps bhi hai jise kewal aap Root karke hi access kar pate hai means ke un apps ko root permission ki jarurat padti hai. aur aise apps ko aap phone root karne ke baad use kar sakte hai. To chaliye ab jante hai ki Android phone ko root karne ke Advantages kya hai?

Rooting ke Fayde (Benefits)
Agar aap apne phone mai kewal calling, message or gaming jaise services hi use karte hai to apke liye Rooting jaruri nahi hai, Lekin Agar aap ek Tech lover or developer banana chahte hai And apne phone ke sath kuch changes karna chahte hai To rooting apke liye ek bahot bada advantage hai. Rooting se aap Apni IMEI id tak change kar sakte hai. Aap Android phone ke sath kuch experiment karne ke liye or hacking ke liye Rooting kar sakte hai. So, let’s talk about benefits of rooting.
Customization:-  Default OS apko kuch customization ke liye allow nahi karta hai, Jaise ki multi windows, Button ka configuration change karna, Notification bar mai changes karna, Setting menu ka design change karna, Complete Themes ka looks and feels change karna and isake jaise bahot sare customization kewal aap rooting ki help se hi kar sakte hai.
Performance & Battery life:-  Agar apka phone rooted hai to aap kuch Apps ki help se aap apne phone keprocessor ki speed ko overclockkarke phone ka performanceincrease kar sakte hai. And Aap Processor ko under-clock karke phone ki battery life increase kar sakte hai. means ke aap apani requirement ke anusar apne phone ka performance and battery life ko increase kar sakte hai.
Custom ROM:- Aap apne phone ko root karke apne Stock ROM ko change karke Custom ROM install kar sakte hai. Custom ROM kya haiisake bare me hum pehle hi ek post kar chuke hai. Custom rom se aap new feature and updates ka upyog kar sakte hai. Kyu ki manufacturer Android updates bahot hi late provide karte hai Aise me aap apne phone me custom rom install karke New Android version ka use kar sakte hai. Agar aap nahi jante hai ki kaise ise install kare To aap humariAndroid me Custom ROM kaise install kare ye post read kare.
Remove System Apps :- Android phone mai bahot sare preinstalled Apps hote hai, Jise aap chahe to bhi uninstall nahi kar sakte hai, sirf aap usako Disable kar sakte hai. Lekin Rooting ki help se aap aise koi bhi unwanted Apps ko bahot easily remove kar sakte hai.
Root supported Apps :-  Agar aap apne phone me extra feature Add karna chahte hai to Aap Root supported apps install kar sakte hai. Ye Apps ko run karne ke liye root permission grant karne ki jarurat padegi. Aise bahot sare Apps apko internet par mil jayenge jisase aap kuch function and feature ka upyog kar sakte hai.
Full BackUp :- Rooted phone se aap easily apne phone ke All Apps or Data, All setting, Configuration ka complete backup create kar sakte hai. isake liye apko bahot sare Apps mil jayenge. Jaise ki Titanium backup, Ndroid backup etc.
Ads Block :- Agar apka mobile rooted hai to Aap isame sabhi Ads ko block kar sakte hai. isake liye bahot sare Ad-blocker Apps available hai. Aap ne dekha hoga ki Jab apke device me internet chalu hota hai us time par bahot sari Ads show hoti hai. Jise aap in Rooting ki help se block kar sakte hai.
To dosto aap jan gaye honge ki Rooting ke kya- kya benefits hai. isake alava bhi aur bahot sare advantages hai lekin isake bare me hume janane ki jaruart nahi hai kyu ki humane yaha par main feature ke bare mai bata diya hai. Now Agar aap root ke fayde jan kar Apne phone ko root karna chahte hai to Ye bhi janle ki Rooting ke Nuksan(disadvantages) kya hai To chaliye isake bare me jan lete hai.
Rooting ke Nuksan (Disadvantages)
Android phone ke manufacturers apko Mobile me Stock OS provide karate hai. Jo kewal apke phone ke liye hi design kiya gaya hota hai, And is operating system ki full security checking ke baad hi ise Phone me install kiya jata hai. Jise change karne ke liye Smartphone manufacturer Allow nahi karte kyu ki isase bahot sare problem and nuksan bhi ho sakta hai. To chaliye isake main disadvantages ke bare mai details jante hai.
Void Warranty :- Agar aap apne phone ko Root karte hai to apke phone ki warranty void ho jayegi means ke chali jayegi. kyu ki smartphone manufactures company rooting ko allow nahi karti hai. lekin bahot sari company ise allow bhi karti hai. like Xiaomi
Brick You Phone :- Agar Rooting process me kuch bhi problem huva to apka phone humesha ke liye bekar ho sakta hai. jisaki puri responsibility apki hongi, kyu ki developer kewal apko process batate Agar us process ko sahi follow nahi kiya to apke sath bahot bada problem ho sakta hai.
No Updates :-  Agar aap Phone ko root karte hai to apko Ab kabhi bhi OTA update receive nahi honge, kyu ki Mobile company rooted phones mai koi bhi android updates provide nahi karti hai.
Security Issue :- Agar apka phone rooted hai to aise me apke phone ki security apke hath mai hai. Jab ki stock ROM mai security level ko time – time par check kiya jata hai and jarurat hone par ise OTA update ke through upgrade kiya jata hai. TO agar koi Bad apps rooted phone mai install karte hai to wo apke phone Full access kar lega jisase apke phone ki security brick ho jayegi.
To friend Ab aap Rooting ke nuksan ke bare mai jaan gaye honge. And agar aap fir bhi apne Android phone ko root karna chahte hai to hi aap apne phone ko root kare. kyu ki isame kuch bhi problem huva to isaki puri responsibility apki hogi.
To Dosto apko Android Root Kya Hai ki puri information mili hogi and hum apko isi tarah ki aur information provide karte rahenge. Agar apko is post ke related koi bhi question hai to aap niche comment kar sakte hai.

0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

Comments

Facebook

Featured Posts

Recent Posts

Recent in Sports

Total Pageviews

Search This Blog

Blog Archive

Aap kaise hacker Banna chahte ho

Carousel

Event

Breaking

News Scroll

Recent Posts

Contact Form

Name

Email *

Message *

Followers

sponsor

sponsor
Hacking course

Tags

hacking (47) kali linux (38)

Categories

Translate

Recent Post

Popular

Facebook

Follow Us

Facebook