Friday, 27 October 2017

Transmission Media

Dosto is post par main apko Transmission Media ke bare mai puri jankari dunga . sabse pahle jante hai ki Transmission Media hota kya hai yeh ek physical path hota hai data ke communication ka jaise manlo apne apne browser se google.com open kiya hai to apka data cables mai se hokar jata hai physical layer par jaise humne OSI Model mai jana unhi cables ko Transmission Media kehte hai iske do types hote hai guided or unguided guided mai apka data wired ke through pass hota hai jaise cables or unguided apka data wireless ke through pass hota hai jaise wifi .in cables ke bare mai apko puri jankari dunga




  • Fiber optic cable ⇒ Fiber optic cable glass or plastic fibers ki bani hoti hai isme data light ki shape mai flow karta hai iska use do buildings ko network ko milane ke liye kiya jata hai jaise manlo college mai do buildings hai or dono buildings mai alag alag internet connection hai or ek computer client ko dursi buildings ke kisi computer client se data share karna hai to dono buildings ke internet connection ko jodne ke liye fiber optic cable ka use hoga ise hum direct switch mai nahi laga sakte iske port connection alag hote hai .is ke liye hume media converter device ka use karna hota hai . media converter mai do ports hote hai ek mai Fiber Optic attach ki jati hai ek mai twisted cabel attach hoti hai .Fiber Optic cabel pure world mai bichi hui hai samundar ke niche yeh do tarh ki hoti hai.




Media Converter 



 Fiber Optic cable under the sea iski videos apko dekhni hai to aap dekh sakte hai youtube par aapko pata chal jayga kaise cabels ko samunder ke niche bichaya jata hai


   ∗ Single mode ⇒ Single mode cabel ko (Mono mode) bhi kaha jata hai Single mode cablr ke andar data laser light ke through pass hota hai single line mai data ka flow hota hai  Single mode multi mode cable se thin hoti hai or fast hoti hai or long distance tak data send kar sakti hai ise Isp (internet service provider) use karte hai. iske connector do tarah ke hote hai inko hum direct computer mai bhi laga sakte hai lekin is ke liye apko fiber optic lan card ki jrurti hogi apko images niche dikhayi ja rahi hai.

Straight tip connector 


 Subscriber Connector / Standard connector



   ∗ Multimode cable ⇒ Multimode cable thick hoti hai Single node cable se or  Multimode cable mai data ka flow multiple LED ke form mai hota hai. ise short distance mai use kiya jata hai do buildings ko jodne ke liye  Multimode cable alag alag speed mai hoti hai 100 Mbit/sec distance up to 2 Km , 1 Gbit/sec distance up to 1000 meters, 10 Gbit.sec distance up to 550 meters.
  • Coaxial cable ⇒ Coaxial cable humere televisions mai use hoti hai apne dekha hoga apke apne ghar mai dth setup box ke back side par ek cable hoti hai use hi Coaxial cable kaha jata hai. iski bandwidths bhi bahut jada hoti hai. yeh do tarah ki hoti hai .


      ∗ Thin net cable ⇒ Thin net cable network mai use hone vali pahli cable thi yeh 1996 ke ass pass use hua karti thi yeh cable Bus topology mai use hoti thi iska standard IEEE 10base2 hota hai IEEE ek organization hai jo cable ke standard ko decide karti hai isme 10base2 ka matlb data transmission rate se hota hai 10 Mbps or 2 ka matlb segment ki length se hai jo 185 meter hota hai isme baseband signal ke through data transfer hota hai . baseband mai single frequency hoti hai isme BNC ( barrel net connector ) T connector ka use hota hai or Bus topology ke both end par terminator use hota tha Topologies  ke bare mai apko age jane ko mil jayga.


  ∗ Thik net cable⇒ yeh dikhne mai Thin net cable ki tarh hi hoti hai iska standard IEEE 10base5 hota hai. isme 10base5 ka matlb data transmission rate se hota hai 10 Mbps or 5 ka matlb segment ki length se hai jo 500 meter hota hai. isme bhi baseband signal mai data flow hota hai ek broadband hota hai broadband mai multiple frequency mai data flow hota hai. iska use do buildings ko jodne ke liye use hoti hai isme (AUI) Attachment unit interface use hoti thi.


age ki cables ki jankari next post par dekhe 





mai ummeed karta hu ki aap sabko Transmission Media ke bare mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.


Visit karne ke liye apka shukriya


0 comments:

Post a Comment

Powered by Blogger.

Comments

Facebook

Featured Posts

Recent Posts

Recent in Sports

Total Pageviews

Search This Blog

Blog Archive

Aap kaise hacker Banna chahte ho

Carousel

Event

Breaking

News Scroll

Recent Posts

Contact Form

Name

Email *

Message *

Followers

sponsor

sponsor
Hacking course

Tags

hacking (47) kali linux (38)

Categories

Translate

Recent Post

Popular

Facebook

Follow Us

Facebook