Friday, 27 October 2017
Twisted Pair cable , Straight-Through Cable and Cross over Cable
October 27, 2017
|
- Twisted Pair cable ⇒ Twisted pair cable Lan network mai use hoti hai aone dekha hoga computer labs mai ek cable hoti hai jo switch se humare computer ko connect karti hai use hi twisted pair cable kaha jata hai. ise twisted pair cable isliye kaha jata hai kyunki yeh cable ke wires apas mai twist ki hui hoti hai 8 colours ki bahut patli si wires hoti hai yeh do types ki hoti hai .
Cat 5 Cable
∗ Unshielded twisted pair cable ⇒ yeh cable twisted pair cable ka type is cables ki categories hoti hai cat5 or cat 6e cat5 ki speed kam hoti hai cat 6e se cat 5 ki speed 1000Mbps se jada speed hoti hai or cat 6e mai exact 1000Mbps ke speed hoti hai ise IEEE 100baseT ke nam se bhi jana jata hai yeh baseband transmission use karti hai iski segment length 100 meter tak hoti hai yeh cable star topology mai use hoti hai iske both side par RJ-54 connector use hota hai.
Cat 6e cable
RJ-45 connector
∗ Shielded twisted pair cable ⇒ yeh bhi Twisted pair cable ka type hai .jaise ki nam se pata chalta hai Shielded isme ek shield bani hoti hai aap picture mai dekh sakte hai jaha par power jada generate hoti hai vaha par Shielded twisted pair cable ka use hota hai jaise ki ek computer lab kisi factory ke ass pass hai to power jada generate hogi to vaha apko Shielded twisted pair cable use karni hogi iski speed 10Gbps hoti hai ise 10GbaseT bhi kaha jata hai isme cat 6a or cat 7 categories use hoti hai iski segment length 100 meter hi hoti hai isme ek 1GbaseT bhi cable available hai or dono cables same hi hoti hai lagbhag .
Cat 6a
Cat 7
- Cross talk ⇒ Twisted pair cable ka use hum cross talk se avoid karne ke liye karte hai jaise jab bhi wires sath mai attach hoti hai or jab ek wire se data pass hota hai or sath mai dusri wire se bhi data pass hota hai to unwanted signals generate hote hai jo ek dusre ki wire ke data ko destroy karte hai isliye cable ko twist kiya jata hai.
- Straight-Through Cable ⇒ yeh cable normally kisi device ko switch se connect karne ke liye use hoti hai jaise hum agar switch se computer ko connect karege to vaha par Straight-Through Cable ka use hota hai Straight-Through Cable ka standard (Telecommunications Industry Association) TIA 568B hota hai iska ek colour code hota hai jiska use is cable ko bnane ke liye kiya jata hai
- Cross over Cable ⇒ yeh cable ks use hum same device ko connect karne ke liye karte hai. ise TIA 568A bhi kaha jata hai. jaise apko agar computer se computer connect karna hai to aap is cable ka use karege jab aap market se yeh cable lete hai to veh Straight-Through Cable hoti hai aap chahe to use Cross over Cable bana sakte hai iski colour coding ke bare mai apko niche picture mai dikhaya gya hai
- Crimping Tool ⇒ Crimping Tool ka use hum cables ki wires ko change karne ke liye karte hai yeh market se aapko mil jata hai aap iska chaho to use karke dekh sakte hai
mai ummeed karta hu ki aap sabko Twisted Pair cable , Straight-Through Cable and Cross over Cable ke bare mai jaankari mil gayi hogi agar apko post pasand aye to share kare dhanywad.
Transmission Media
Visit karne ke liye apka shukriya
Subscribe to:
Post Comments
(Atom)
Powered by Blogger.
Comments
Featured Posts
Recent Posts
Recent in Sports
Total Pageviews
Search This Blog
Blog Archive
Aap kaise hacker Banna chahte ho
Event
Breaking
News Scroll
Recent Posts
About Me
Contact Form
Followers
Tags
hacking
(47)
kali linux
(38)
Categories
Translate
Recent Post
Popular
-
Whois Lookup and IP Lookup Whois Lookup ⇒ Dosto is post par mai apko Whois Lookup and IP Lookup ke bare mai bataunga Whois Lookup ka us...
-
Dosto is post par main apko Phishing attack ke bare mai bataunga ye post sirf educational purpose ke liye hai . Phishing attack ek bahut hi ...
-
Dosto is post par main aapko Signalling System 7 (ss7 attack) ke bare mai puri jankari dunga yeh post sirf educational purpose ke liye hai a...
-
Dosto is post par main aapko port ke bare mai jankari dunga jo ek hacker ke liye jaana bahut jaruri hai port forwarding ek rasta hota hai ja...
0 comments:
Post a Comment